WOH
Main kagaz pe likhta hun naam tera
Maine har shaam ko tujhe yaad kiya hai
Main khudse hee krta hun teri batein
Maine har dua main tujhko manga hai
Main dhundta hun khudko teri aankhon main
Maine har baar khud ko nirash kiya hai
Main karta hun koshishen tujhe bhoolne kee
Maine har baar teri yaad ko paya hai
Main karta raha koshishen tujhe paane kee
Maine har baar tujhko dur paya hai
Main likhta tha tumhare husn par ghazlein
Maine har baar unko jalaya hai